Skip to content

Kisa mohobat ka || hindi judai shayari

क्यों किसा मोहब्बत का यह खोला जाये
किताबें इश्क की यह बंद ही अच्छी लगती हैं
अब याद करके उन्हें आंसू क्यों ग्वाय हम
हमें यह जुदाई हीं अब अच्छी लगती हैं

—गुरू गाबा 🌷

 

Title: Kisa mohobat ka || hindi judai shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Sanwla Yaar || hindi poetry

Bade ajeeb khyalon ka hai vo Mera khwaish sanwla yaar….
Mai duaa kru ya ardaas kru chahe jaau Mai majhaar🕌🕋🙏
Prey krun Mai church Mai jaakar
Chahe fere lu Mai chaar💕
Use Matlab nahi hai dharam se
Insaniyat se hai pyar…
Hamesha Jo mujhse puche 🌠shyna🌠
Tune puja Kari Kya yaar🤗
Oh mathe teke baba ko
Mai jaau peer dargaah
Usse Matlab nhi mere ishwar se
Meri duaao se hai pyar
Kismt SE rabb ne bheja mujhe ek Tere liye mere yaar
Na Hindu Mai na Muslim Mai
Bas Tera sanwala yaar
Mai bas Tera sanwala yaar

Shyna

Title: Sanwla Yaar || hindi poetry


Meri maa || hindi shayari

Ek shaam Mai haar kar main khudh se sawal kar bethi,
Kyun lagti hai zindagi Khatam si
kyun aas koi dikhai nahi deti.
Mann karta hai panchi ban Mai kabhi Aakash Mai ud jaau
Bahot Rahi Mai chup chup kar ab
Ab Khuli hawa Mai lehraau.
Allah meri Duniya Mai ek farishta koi bhej de
Jo cheen liya tha bachpan Mai bas esa hi pyaar bhej de.
Mai fir se khelu Aanchal se mai fir se Bachi ho jaau,
Ay allah Mai thak kar ma ki god Mai so jaau,
Meri zindagi mai mushkile Barish ki tarah aati hai
behti hai baaten maa ki or yaadon ki baadh laati hai,
Kese kahu tere bina maa mera kesa haal hai,
Chal chal kar thak gai mai
Fir bhi na sahi haal hai.
Bina tere ma mujhe koi
Chup krane wala nahi hai,
Mai ro bhi du bilakhkar toh koi gale lgane wala nahi hai.
Kyun tere bina ma hume jina padta hai,
Kyun bin maa ka bacha akele hi zindagi se ladta hai.
Ey Allah meri bas itni c Duaa maan le maa mat karna door kisi ki chahe toh badle Mai tu sara jahan maang le

Title: Meri maa || hindi shayari