Skip to content

Life quotes || English thoughts

Sad life quotes/ sad English quotes/true thoughts
Life is all about breaking the bonds



Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Unhe sab mazak lagta hai || sad but true || love hindi shayari

Haqeeqat kaho to unhe khuab lagta hai
Shikwa karo to unhe mazak lagta hai
Kitni shiddat se hum unhe yaad karte hain
Ek vo hain jinhe sabkuch mazak lagta hai…🫠

हकीकत कहो तो उन्हें ख्वाब लगता है,
शिकवा करो तो उन्हें मज़ाक लगता है,
कितनी शिद्दत से हम उन्हें याद करतें हैं,
एक वो हैं जिन्हें ये सबकुछ मजाक लगता है…🫠

Title: Unhe sab mazak lagta hai || sad but true || love hindi shayari


Meri maa || hindi shayari

Ek shaam Mai haar kar main khudh se sawal kar bethi,
Kyun lagti hai zindagi Khatam si
kyun aas koi dikhai nahi deti.
Mann karta hai panchi ban Mai kabhi Aakash Mai ud jaau
Bahot Rahi Mai chup chup kar ab
Ab Khuli hawa Mai lehraau.
Allah meri Duniya Mai ek farishta koi bhej de
Jo cheen liya tha bachpan Mai bas esa hi pyaar bhej de.
Mai fir se khelu Aanchal se mai fir se Bachi ho jaau,
Ay allah Mai thak kar ma ki god Mai so jaau,
Meri zindagi mai mushkile Barish ki tarah aati hai
behti hai baaten maa ki or yaadon ki baadh laati hai,
Kese kahu tere bina maa mera kesa haal hai,
Chal chal kar thak gai mai
Fir bhi na sahi haal hai.
Bina tere ma mujhe koi
Chup krane wala nahi hai,
Mai ro bhi du bilakhkar toh koi gale lgane wala nahi hai.
Kyun tere bina ma hume jina padta hai,
Kyun bin maa ka bacha akele hi zindagi se ladta hai.
Ey Allah meri bas itni c Duaa maan le maa mat karna door kisi ki chahe toh badle Mai tu sara jahan maang le

Title: Meri maa || hindi shayari