
tujhse judi har baat likh raha hu
yeh to log hai jo mujhe “shayar” kehte hai
mai to bas dil ke jazbaat likh raha hu

Badlati raahon se ruthkar humne, aana jana shod diya..
Ab kaanto se ghire in foolon se, dil lgana shod diya..
Zehar se ishq se tauba kar li, bhara paimana tod diya..
Ab bewafa ishq ki galiyon mein, mohobbat aajmana shod diya….🙌
बदलती राहों से रूठकर हमने, आना जाना छोड़ दिया..
अब कांटों से घिरे इन फूलों से, दिल लगाना छोड़ दिया..
ज़हर से इश्क से तौबा कर ली, भरा पैमाना तोड़ दिया..
अब बेवफा इश्क की गलियों में, मोहब्बत आजमाना छोड़ दिया….🙌
Shayad mein hi galat hoon, jo log mujhe sahi karne mein lge hein,
Jo kam meri zindagi tabaah kar de, wahi karne mein lge hein.
शायद मैं ही ग़लत हूं जो लोग मुझे सही करने में लगे हैं,
जो काम मेरी ज़िन्दगी तबाह कर दे, वही करने में लगे हैं।