Enjoy Every Movement of life!
Agar Bikne Pe Aa Jao Toh Ghat Jate Hain Daam Aksar,
Na Bikne Ka Iraada Ho Toh Keemat Aur Barhti Hai.
अगर बिकने पे आ जाओ तो घट जाते हैं दाम अक्सर,
न बिकने का इरादा हो तो क़ीमत और बढ़ती है।
Aaj yaadon ke kamre main kuch dhund Raha tha.
Kisi bichade hue rishtey ki tasveer ko dekh raha tha.
Beetey hue khusnuma pal yaad aa gaye
Waqt badal Gaya yaaden piche rah gaye
Aaj bhi beeti yaadon main wahi kasish hai
Berang zindagi jeene ki kosish hai
Naa jaane Kahan chhoot Gaye woh haseen pal
Woh sukoon se bharaa hua kal
Woh lamhe kabhi Laut ke nahi aayenge
Lekin hamesha khubsurat yaad ki tarah Dil main Zinda rahenge.
