Skip to content

Qubool kar khuda || two line Hindi shayari

Qubool kar khuda, zaroorat tujhe bhi hai,
Mein muthi bhar tere liye bhi duayein laya hun…

कबूल कर खुदा, जरूरत तुझे भी है,
मैं मुट्ठी भर तेरे लिए भी दुआएं लाया हूं…

Title: Qubool kar khuda || two line Hindi shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Waqt || hindi shayari || two line shayari

Zindagi me kabhi kabhi waqt aisa bhi aata hai gam ko apne andar chupa kar bahar insaan muskurata hai 🙂 

ज़िंदगी में कभी कभी वक़्त ऐसा भी आता है गम को अपने अंदर छुपा कर बाहर इंसान मुस्कुराता है 🥲

Title: Waqt || hindi shayari || two line shayari


Bhuli bisri yaaden

Aaj yaadon ke kamre main kuch dhund Raha tha.

Kisi bichade hue rishtey ki tasveer ko dekh raha tha.

Beetey hue khusnuma pal yaad aa gaye

Waqt badal Gaya yaaden piche rah gaye

Aaj bhi beeti yaadon main wahi kasish hai

Berang zindagi jeene ki kosish hai

Naa jaane Kahan chhoot Gaye woh haseen pal

Woh sukoon se bharaa hua kal

Woh lamhe kabhi Laut ke nahi aayenge

Lekin hamesha khubsurat yaad ki tarah Dil main Zinda rahenge.

Title: Bhuli bisri yaaden