Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
nazar ka nazar se saccha ikraar || Hindi shayari
Jeevan mein ek baar sabhi ne kiya hai pyar,
Kuchh ne darr kar kuchh ne josh mein kiya izhaar,
Magar bina bole jab do dil keh jaye dil ki baat,
Vahi hai nazar ka nazar se saccha ikraar.
Title: nazar ka nazar se saccha ikraar || Hindi shayari
Andhere ki duniya || dard shayari hindi sad
Aksar log andhere ko apni duniya maan lete hain
Kadwi sachhai ko jhel nahi paate hain
Ujjale ki roshni uski andhere ki duniya ko nigal leti hai
Uski iss jhuti Jahan ki badal dati hai
Andhere ki duniya bhale hi jhuti ho sukun ke do pal deta hai
Ujjali Kiran aane waale sach ka kal deta hai
Kya kare yeh dil sach maanta hi nahi
Dhoke kaa maara hai,yakeen karna isko aata nahi
