“God will always bring the right people into your life, but you have to let the wrong people walk away.”
“God will always bring the right people into your life, but you have to let the wrong people walk away.”
Adhi raat k andhre mai kuch lamhe likh rahi hu
Esa lgta hai Zindagi puri ho toh gai hai.
Raat bhar jaag kar bhi Nind ki
nishani nhi milti,
Tumhe bta du k mujhme khwaishen so toh rahi hai.
Ye andhre se gehri raat or taaron se bhara aasma,
Tum dekho na jra gor se
roshni ho toh rahi hai.
Mere ander rota h shyd mera naseeb bhi bethkar,
Tum dekho n aankhen meri ro toh rahi hai.
Kbhi zindagi ki fikr kbhi mout ka khouf hai,
Meri choti si zindagi m sab kismat ka hi dosh hai.
Log kehte h kismat lakeeron m hoti h,
Ye dekho Hatheliyan meri lakeeron se puri toh bhari h.
Is Andheri c raat mai gamm bahot drate hai,
Par Allah ki bandi dekh subha ho toh rahi hai.
Duaa meri kbhi sune khudha mai mannat ki dor baandh detii hu
Mile nizaat tere gamm se is aas m murshad
Tere khatir vo khudh se roj lad toh rahi hai….
Prathna keval shabdo se nhi dil se bhi honi chahiye
Kyunki ishwar unki bhi sunte hain jo bolte nhi, sirf prathna karte hain ❤
प्रार्थना केवल शब्दों से नहीं दिल से भी होनी चाहिए!!!
क्योंकि ईश्वर उनकी भी सुनते हैं जो बोलते नहीं,सिर्फ प्रार्थना करते हैं!!!❤