Rishta ho pyaar ka,ya nafrat ka
Rishta ho dard ka,ya ho mohabbat ka
Rishta toh hamesha rehta hai khaas
Chahe kitna bhi dur ho ya paas
Jaane waale to chale jaate hain
Todne waale toh Tod dete hain
Lekin jo aakhir main reh jaata hai woh hai rishta.pyaar ka rishta,dil ka rishta.
Jaruri nahi rishtey ka koi naam ho
Ya Koi daam ho
Bas ho bedaag,maasum aur pyaara
Hamaare jeene ka sahara
Jo rahe dil ki dhadkan main
Yeh dikhne wala cheez nahi yeh toh logon ko jodta hai atoot bandhan main
Apni izzat ke khatir to marte sabhi hain
Aabroo auron ka bhi dhako to ascha rahega
Zubaan se hi byan ho har baat, kisne kaha hai
Khamosh nazro ko bhi padho to ascha rahega💯
अपनी इज़्ज़त के ख़ातिर तो मरते सभी हैं,
आबरू औरों का भी ढको तो अच्छा रहेगा।
ज़ुबाँ से ही बयाँ हो हर बात, किसने कहा है,
ख़ामोश नज़रों को भी पढ़ो तो अच्छा रहेगा।💯