Sabak🥀 || Punjabi shayari || sad but true was last modified: April 19th, 2023 by _anmol_sahi
Teri yaadein || hindi shayari status || sad shayari
J yaadein Teri pal pal maar rahi muje
Chain Na milta ek pal bhi yara..!!
Toot se chukein hain ab to
Na Jane kab hoga milna dubara..!!
ये यादें तेरी पल पल मार रहीं मुझे
चैन न मिलता एक पल भी यारा..!!
टूट से चुकें हैं अब तो
न जाने कभ होगा मिलना दोबारा..!!
Dil ke andar aag lagaai jaa sakti hai
Dilwalo se jaan chhudai jaa sakti hai
Us ne Hans kar meri jaanib dekh liya hai
Yaani us se baat badhayi jaa sakti hai
Samandar paar to baatien ho jaati hai
Kya maazi Mai call milaayi jaa sakti hai
Nayi muhabbat mahangi padti hai to dekho
Koi puraani theek karaayi jaa sakti hai
Darwaaze par dastak de kar dekh liya hai
Darwaaze se teg lagaai jaa sakti hai
Zindagi se Khuwaab humaien kuch mil sakte hai
Jaise mout se neend churaai jaa sakti hai