Skip to content

AGRIMA TRIPATHI

MAA || zindagi ke eham hisse

chalo likhti hu apne zindagi ke sabse ehem hisse ke bare me

shabd hi kam pargaye jab socha maa ke bare me

har mushkil me saath dete ek bas use dekha hai

khuda to na dekha maine par uski shaktiyon ko apni maa me dekha hai

bachpan ki beeti baaton ko main bhool kabhi na paati hu

pyar to bahut karti hoon aapse bs izhar nahi kar pati hoon

Ishq kya hai? || ehsaas shayari hindi

ishq kya hai?

  udaas jo hojauu main  to aansoo ,

  uski aankh se jhalak jaye.

  dil pe lagi baat ko bhoolkar ,

  vo meri ek muskurahat pe maanjaye.

  khafa ho jab duniya mujhse,

  to ek vo mujhe seene se lagaye.

  tohfe chah kam hi sahi par mere liye izzat,

  uski aankho me saaf nazar aaye.

  roothna manana to chalta hi hai par jo main rooth jaun ,

  to rooh uski bechain hojaye.

ye ehsaas hi to ishq hai, ye jazbat hi to ishq hai

AGRIMA TRIPATHI