Skip to content

Aryan Dev

Joh Mera Hissa Woh || Tanhai

Joh Mera Hissa Woh Apne Saath Liye Phirte Hain,

Ussey Woh Apna Mukammal Jahan Karte Hain,

Yuh Toh Mujhse Mujhiko Churake Mujhe Tanha Kar Jaate Hain…

Khushnaseeb Hain Woh Jinse Woh Mera Hissa Baata Karte Hain,

Yuh Toh Phir Mukammal Apna Jahan Karte Hain,

Ki Mujhse Mujhiko Chukrake Mujhe Tanha Kar Jaate Hain…

Tanhai Ke Iss Daur Mein Kaun Kiska Hissa Sahi ?

Mohabbat Ki Justaju Mein, Kabhi Raanjha Roya Kabhi Heer Kahi,

Dard-E-Ashique Ka Ghut Pi, Dobara Mohabbat Karne Chale,

Dobara Iss Raah Mein Khudko Barbaad Karne Chale…

Aryan Dev