Skip to content

Sameena Sangle

I am SAMEENA SANGLE. I from Mumbai. I have intersted in Write Urdu Shairi and show the my thoughts in between of public and i want to earn money.

Alfaaz || Urdu Ghazal or Shayari

AA JAAYE WO RU-BA-RU TO ALFAAZ NAHI AATE ZUBAAN PAR HAMARE

TASAWWUR MAIN WO OR HUM TANHAI MAIN TAWEEL GUFTUGU KARTE HAIN

 

آجائے گر وہ رو برو تو الفاظ نہیں آتے زباں پر ہمارے  

تصوّر میں وہ اور ہم تنہائی میں طویل گفتو کرتے ہیں

 

 

Dil mein jgah unke liye || Urdu Ghazal or Shayari

JAB BAN HI GAYI BA-MUSHKIL DIL MAIN HAMARE JAGAAH UN KE LIYE

PHIR WO BHI HAMAIN FAQT WAQT-E-MATLAB YAD KARNE LAGE

جب بن گئی بہ مشکل دل میں ہمارے جگہ ان کے لئے
پھر وہ بھی ہمیں فقط وقتِ مطلب یاد کرنے لگے

Nazrein churana || urdu shayari

YOUN NAZRAIN CHURAANA HUM SE AAP KA BA KHUSHI OR BAARHAA

ZAALIM KABHI SOCHNA KITNA DUSHWAR KUN HAIN YEH MARHALA

یوں نظریں چرانا ہم سے آپ کا با خوشی اور بار ہا

ظالم کبھی سوچنا کتنا دشوار کن ہے یہ مرحلہ 

Shayari mein hunar || Urdu Ghazal or Shayari

HUM TO BAS SHAYARI MAIN IS QADAR HUNAR RAKHTE HAIN

RAKH DETE JO QADAM MEHFIL MAIN LOG APNI QALAM CHCHODH DETE HAIN

  ہم تو بس شاعری میں اس قدر ہنر رکھتے ہیں
رکھ دیتے جو قدم محفل میں لوگ اپنی قلم چھوڑ دیتے ہیں

Unki yaadon ki qaid || Urdu Ghazal or Shayari

MUQAIYYAD HAIN HUM TO FAQT UNHI KE YAADON KI QUAID MAIN

OR WO HAMAIN UN KI GIRAFT SE AAZAAD SAMAJH BAITHAIN HAIN

 مقیّد ہے ہم تو فقط انھیں کے یادوں کی قید میں
اور وہ ہمیں ان کی گرفت سے آزاد سمجھ بیٹھے ہیں

Mohobbat se haare || Urdu Ghazal or Shayari

MUQADDAR SE BHI IS QADAR HAARE HUE HAIN HUM KE BAS…….

OR WO HAMAIN ISI DAULAT SE MAALAA MAAL SAMAJH BAITHAIN HAIN

مقدّر سے بھی اس قدر ہارے ہوئے ہیں ہم کہ بس۔۔۔۔۔۔۔۔
اور وہ ہمیں اسی دولت سے مالا مال سمجھ بیٹھے ہیں

Urdu Ghazal Or Shayari || two line shayari

YEH ISHQUE KE JO MARHALE HAIN IN SE TO HUM KOSON DOOR HI BAITHAIN HAIN
TASHKEEL LAFZON KI DEKH KAR WO TO HAMAIN HI AASHIQUE MIZAAJ SAMAJH BAITHAIN HAIN

یہ عشق کے جو مرحلے ہے ان سے تو ہم کَوسَوں دور ہی بیٹھے ہے
تشکیل لفظوں کی دیکھ کر وہ تو ہمیں ہی عاشق مزاج سمجھ بیٹھے ہے

Urdu Ghazal or Shayari || ho jaye gar saamna

ہو جائے گر سامنا سرِ حشر بھائی سے تمھارے

 تب کس طرح ملاؤ گے نظریں

 بیٹھ کر فرصت سے کبھی یہ بھی تو سوچنا

HO JAAYE GAR SAAMNA SAR-E-HASHR BHAI SE TUMHARE

TAB KIS TARHA MILAAO GE NAZRAIN

BAITH KAR FURSAT SE KABHI YEH BHI TO SOCHNA

Sameena Sangle

I am SAMEENA SANGLE. I from Mumbai. I have intersted in Write Urdu Shairi and show the my thoughts in between of public and i want to earn money.