Hindi Shayari
All times best Hindi shayari and Hindi Quotes will be displayed on this page.
We post daily new sad, love hindi shayari and status on this page. We have large collection of romantic and 2 lines hindi shayari. All the shayaris are displayed on one page so that you can share on facebook and whatsapp with one click.
Agar Tum Na Hote || hindi love shayari
Agar Tum Na Hote To Gajal Kaun Kahta,
Tumhare Chehare Ko Kamal Kaun Kahta,
Yeh Karishma Hai Mahobat Ka..
Warna Pathar Ko Taj Mahal Kaun Kehta! ?
अगर तुम न होते तो ग़ज़ल कौन कहता,
तुम्हारे चहरे को कमल कौन कहता
यह तो करिश्मा है मोहब्बत का..
वरना पत्थर को ताज महल कौन कहता। ?
Ehtiraam : respect || love shayari
Yeh bhi mumkin hai hum mutawazi apne safar par chale
Aur ittefaq se milne par toot jaaye
Yeh bhi mumkin hai hum apne apne raaste bhatak jaaye
Aur aakhir mein jahan se ibtida kiye the waha mil jaaye
Yeh bhi mumkin hai ke tumhara paigam aa jaaye
Aur dil mil jaaye
Ye bhi mumkin hai ke anaa ki daud mein hum kho de ek dusre ko
Aur zindagi ke aakhri daur mein humara pyaar mukammal ho jaaye
Yeh bhi mumkin hai hum apni manzil par pahunch jaaye
Aur jannat ke darwaaze par ek dusre ko galay lagaye..
Kya itna waqt lagana zaroori tha
Ab toh akelapan pasand aane laga hai mughe
Kya itna badalna zaroori tha
Ab toh yeh badla sa lagne laga hai mughe..
Meri tasawwur dil lagi tumse bohat haseen hoti hai
Shuruat meri sharaarat se hoti hai aur
Khatam tumhari muskurahat pe hoti hai..
Meri aadat aur meri zaroorat bhi tum
Meri dawa aur meri dua bhi tum
Mera guzra aur aanewaala waqt bhi tum
Bewajah aasoon aur bewajah muskurana bhi tum..
Hindi shayari || best 2 lines shayari
ये साफ सफाई की बात नहीं, कोरोना ने लिखी खत।
इधर उधर थुकना मत।
…………………………………………..
गंगा की गोद में चलती है नाव, मृत शरीर भी।
समय का गोद में खिलती है सभ्यता और जंगली जानवर का अँधा बिस्वास भी।
……………………………………………
बचपन मासूम कली।
फल बनना और बड़ा होना- काला दाग में अशुद्ध कलि।
…………………………………………….
कीचड़ में भी कमल खिलता है।
अच्छे घर में भी बिगड़ा हुआ बच्चा पैदा होते है।
………………………………………………
इंसान का अकाल नहीं, इंसानियत की अकाल है।
डॉक्टर (सेवा) के अकाल नहीं, वैक्सीन (व्यवस्था) का अकाल है।
………………………………………………….
कुत्ते समझते है के कौन इंसान और कौन जानवर है।
बो इंसान को देख के पूंछ हिलाते है और जानवर को देख के भूँकते है।
………………………………………………………
जीविका से प्यारा है जिंदगी।
अगर साँस बंद है तो कैसे समझेंगे रोटी की कमी।
Tera shehar || hindi shayari love
Pyara tha tera shahar magar use m nhi bhayi…
Chahti thi jo khushiya vo kbhi mil nhi payi…
Tere sahare duniya ko jan ne lgi thi m…
Kya h duniyadari pehchan ne lgi thi m…
Tere sahare nyi jindgi m mene kadam bhdaye the…yaad h tujhe jab tune mujhse naiya ldaye the..
Dekh tere shahar se aj jane lgi hu m…
Duriyo ko ab ras ane lgi hu m
Tere shahr m rehne k khaab sjane lgi thi m..
Magar un khwabon ko meri nind nahi bhayi….
Ab jo bhi hua sab bhula k dur hu ayi
Tere shahr ko m kbhi raas hi nhi ayi…
Shyna
Sanwla Yaar || hindi poetry
Bade ajeeb khyalon ka hai vo Mera khwaish sanwla yaar….
Mai duaa kru ya ardaas kru chahe jaau Mai majhaar🕌🕋🙏
Prey krun Mai church Mai jaakar
Chahe fere lu Mai chaar💕
Use Matlab nahi hai dharam se
Insaniyat se hai pyar…
Hamesha Jo mujhse puche 🌠shyna🌠
Tune puja Kari Kya yaar🤗
Oh mathe teke baba ko
Mai jaau peer dargaah
Usse Matlab nhi mere ishwar se
Meri duaao se hai pyar
Kismt SE rabb ne bheja mujhe ek Tere liye mere yaar
Na Hindu Mai na Muslim Mai
Bas Tera sanwala yaar
Mai bas Tera sanwala yaar
Shyna
Meri maa || hindi shayari
Ek shaam Mai haar kar main khudh se sawal kar bethi,
Kyun lagti hai zindagi Khatam si
kyun aas koi dikhai nahi deti.
Mann karta hai panchi ban Mai kabhi Aakash Mai ud jaau
Bahot Rahi Mai chup chup kar ab
Ab Khuli hawa Mai lehraau.
Allah meri Duniya Mai ek farishta koi bhej de
Jo cheen liya tha bachpan Mai bas esa hi pyaar bhej de.
Mai fir se khelu Aanchal se mai fir se Bachi ho jaau,
Ay allah Mai thak kar ma ki god Mai so jaau,
Meri zindagi mai mushkile Barish ki tarah aati hai
behti hai baaten maa ki or yaadon ki baadh laati hai,
Kese kahu tere bina maa mera kesa haal hai,
Chal chal kar thak gai mai
Fir bhi na sahi haal hai.
Bina tere ma mujhe koi
Chup krane wala nahi hai,
Mai ro bhi du bilakhkar toh koi gale lgane wala nahi hai.
Kyun tere bina ma hume jina padta hai,
Kyun bin maa ka bacha akele hi zindagi se ladta hai.
Ey Allah meri bas itni c Duaa maan le maa mat karna door kisi ki chahe toh badle Mai tu sara jahan maang le