Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Zamane mai Hulchul hui
Wo ek din nahi dikhay saray zamane mai halchal hui…
Sunkar khabar ki wo bimar h, dil mai ek Uljhan si hui…
Najane kaisay beet gaya lamha, warna unhe dekhay begair kabhi humari Subah naa hui…
Sunkar awaaz unki, dil mai ek thandak si hui …
Jald milegay alfaz sunkar, tehreek si hui…
Awaz mai jo itni thandak hai unke, socho zara unhe dekhar humara dil kitne zor se dhadakta hoga…
Jis kisi shaks k samne zor si dil dhadke humara samajlena yeh wohi shaks hoga…✨
_shama🦋
Title: Zamane mai Hulchul hui
Achanak se gayab ho jauga main || yaad shayari
Achanak se gayab ho jauga main,
Khayalon mein chhupa hua hoon kahin.
Dil se juda, anjaan rahoon,
Yaadon mein basa hua hoon kahin.
Raat bhar chandni se roshan hokar,
Sitaron mein bikha hua hoon kahin.
Tere khwabon mein kho jauga main,
Aankhon mein basa hua hoon kahin.
Hawaon mein leharata hua,
Zindagi se juda hua hoon kahin.
Achanak se gayab ho jauga main,
Magar teri yaadon mein bana hua hoon kahin.

