Skip to content

Suna tha waqt har jakham bhar detA || true lines on life

Suna tha waqt har jakham bhar deta hai magar yaadein purani ho Jane se kahaniya nhi badla karti

सुना था वक़्त हर जख्म भर देता है मगर यादें पुरानी हो जाने से कहानियां नहीं बदला करती

Title: Suna tha waqt har jakham bhar detA || true lines on life

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Ehtiraam : respect || love shayari

Yeh bhi mumkin hai hum mutawazi apne safar par chale
Aur ittefaq se milne par toot jaaye
Yeh bhi mumkin hai hum apne apne raaste bhatak jaaye
Aur aakhir mein jahan se ibtida kiye the waha mil jaaye
Yeh bhi mumkin hai ke tumhara paigam aa jaaye
Aur dil mil jaaye
Ye bhi mumkin hai ke anaa ki daud mein hum kho de ek dusre ko
Aur zindagi ke aakhri daur mein humara pyaar mukammal ho jaaye
Yeh bhi mumkin hai hum apni manzil par pahunch jaaye
Aur jannat ke darwaaze par ek dusre ko galay lagaye..

Kya itna waqt lagana zaroori tha
Ab toh akelapan pasand aane laga hai mughe
Kya itna badalna zaroori tha
Ab toh yeh badla sa lagne laga hai mughe..

Meri tasawwur dil lagi tumse bohat haseen hoti hai
Shuruat meri sharaarat se hoti hai aur
Khatam tumhari muskurahat pe hoti hai..

Meri aadat aur meri zaroorat bhi tum
Meri dawa aur meri dua bhi tum
Mera guzra aur aanewaala waqt bhi tum
Bewajah aasoon aur bewajah muskurana bhi tum..

Title: Ehtiraam : respect || love shayari


Kisi Ko Khokar Mene Khud Ko Pa Liya Hai

Kisi Ko Khokar Mene Khud Ko Paa Liya hai

Mere Naseeb Mein  Jo Kuch Tha Mene Apna Liya hai

Kyu Karte Ho Uski Baante Mere Samne Yaaro

Usne Apna Dil Kahin Or Laga Liya Hai

Yaha Mat Jao Waha Mat Jao Isse Usse Baat Mat Karo

Yahan Har Shaqs Apni Hawas Mitane Me Laga Hua Hai

Kisi Ek Ka Ho Pana Tere Liye Mushqil Hain Shayad

Tune Apna Dil Na Jane Kitno Se Laga Rakha Hai

Khuda Kare Tere Bete Ko Ishq Ho Tujh Jesi Hi Adakara Se

Jab Hoga Tujhe Maloom Dard Ko Chhupane Mein Seene Me Kitna Zakhm Mene Bana Liya Hai.

Title: Kisi Ko Khokar Mene Khud Ko Pa Liya Hai