Skip to content

Sunn na mere yaar || love shayari hindi

Sun na mere yaar Meri ek baat maan le
Apni yaadon se keh de na k vo Yun na Meri jaan le,
Meri Zindagi ki kahaniyan abhi adhuri padi hai,
Mere sapno se manjil ki abhi doori badi hai,
Mai raaton Mai jaag Kar khwabon ko bunti rehti hu,
Mere Dil ki taar dil se abhi bigdi pdi hai.
Tere khatir mene khudh ko rulaya bada hai,
In aankhon se kajal bahaya bada hai…
Ab der na Kar jaane Mai
tu judha hai mujhse maan le
Apni yaadon ko keh de vo Yun na Meri jaan le.
Koi Roya h mere liye mene rote dekha h usko bhi
Koi Roya h mere liye mene rote dekha hai usko bhi.
Vo kehta hai mujhse ki tu baat meri maan le,
Ye ishq nhi aasaan bas itna tu bhi jaan le.
Mohobbat ki raahen taarik bahot dohrati hai,
Thukrati h dusri toh pehli yaad aati hai.
Ye duniya h yahan jismo ka Sara khel hai,
Jo jiske Jada kareeb bas vahi perfect mail hai.
Ishq mohobbat ko logon ne dhandha bana k rakha hai,
Sache ashik ko toh andha bana k rakha hai.
Aaj fir khyal ne mujhe raat bhar jagaya hai
Tujhne PTA nhi hoga mene kitna Dil dukhaya hai.
Mai bhula rahi hu tujhko ab tu bhi bhula huaa maan le,
Apni yaadon se keh de vo Yun n Meri jaan le

😊shyna😊

Title: Sunn na mere yaar || love shayari hindi

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Aapki yaad || love hindi shayari || pyar shayari

Aapki yaad aaye to dil kyaa kre🌸
Yaad dil se na jaaye to dil kyaa kre🙈
Socha tha sapnon mei mulakaat hogi😍
Magar nind hi na aaye to hm kyaa kre😔

आपकी याद आए तो दिल क्या करे🌸
याद दिल से न जाए तो दिल क्या करे🙈
सोचा था सपनों में मुलाकात होगी😍
मगर नींद ही न आए तो हम क्या करे😔

Title: Aapki yaad || love hindi shayari || pyar shayari


Heart that loves || English Love 2 Thoughts

The heart that loves, stays always young.

Love never fails and when it fails in life, then its not love! 🧡🧡

Title: Heart that loves || English Love 2 Thoughts