Skip to content

Tere naam ho jau || Love shayari

तेरे इश्क में  इस तरह नीलाम हो जाऊँ,

आखरी हो तेरी बोली और में तेरे नाम हो जाऊ

Tere ishq me is tarah neelam ho jau
aakhri ho teri boli aur me tere naam ho jau

Title: Tere naam ho jau || Love shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Bichadna yaad aata hai..

College ki seedhi per khade ho kar Kuch logo ke sath guftagu karna yaad aata hai,

Mujhe zindagi ke her palat’te panne ke sath,

Dosto se bichadna yaad aata hai…

Guzar raha hai waqt un parchaiyo’n ke sath,

Jinme the kuch yaar hatho me daale hath,

Na main hun ab na wo reh gaye hain wahi,

Per lamho me hain qaid wo mere kahin na kahin,

Kabhi khali se waqt me ho bhi jati hai baat,

Warna raftaar ki is duniya me koun rakhta hai ab yaad,

Jo mil jaye tumhe wo dour kahi to jaane na tum dena,

Na ayega wo lout ke is baat ko meri maan lena,

Aj bhi her mod her rasta mujhe unki yaad dilata hai,

Jin per hum sath the aur phir waqt tham sa jata hai,

Us mod per khadi hun jis rah tum mude the,

Yaar mere tu yaad kar, kabhi hum tum bhi jude the !!

Title: Bichadna yaad aata hai..


Ishq ab na karunga || hindi shayari

Ek roj tera khat fir nikal padhunga mein
Ek roj fir teri ishq yaad se marunga mein
Voh jo shakhs jom mein tha aaj tkk nhi aaya
Esi vba shod gya ishq ki ke ab na kisi se ishq krunga mein🙌

एक रोज तेरा ख़त फिर निकाल पढूंगा मैं
एक रोज फिर तेरी इश्क याद से मरूंगा मैं
वोह जो शख्स जोम में था आज तक नहीं आया
ऐसी वबा छोड गया इश्क की कि अब ना किसी से इश्क करूंगा मैं🙌

Title: Ishq ab na karunga || hindi shayari