Skip to content

Thak gaye hai manzil || hindi shayari

थक गए हैं मंजिल को मंजिल करते करते,
रास्तों के सारे रास्ते भी बंद हैं...
आगे बढ़ाया है एक कदम डरते डरते,
कदमों से रास्ते भी तो तंग हैं...
मसलन आगे न रुक जाऊं चलते चलते,
सुना है रास्तों में बहुत तंज है...
चलो वापस घर चले सांस भरते भरते,
याद आया,
रास्तों के सारे रास्ते भी बंद है...

Title: Thak gaye hai manzil || hindi shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Jane kon kon se raaz || HIndi shayari best

Jaane kon kon se Raaz kholti hai
Khamoshi jab sir chhad kar bolti hai

Le jaati hai mujhe Andheri galiyon m
Fir der tk meri nbz tatolti hai

Durr rehne ki iss se kai minnate ki mene
Teri hamraaz hoon reh reh kar Bolti hai

Kya milta hai ise gade murde udkhad kar
Raat raat bhar laasho sang dolti hai

Zehr .. tezaab… Awara khushuye
Kya kya aakar zehn m gholti hai

Mere badan m uthi hai basi limsa koi
Bechain rooh mano tera rasta tatoli hai

Title: Jane kon kon se raaz || HIndi shayari best


Sapno ki udaan || two line Hindi shayari

Sapno ke aasmaan mein tabhi udaan hoti hai
Jab haqeeqat ki zameen se pairon ki pehchaan hoti hai ✌️

सपनों के आसमान में तभी उड़ान होती है
जब हकीकत की ज़मी से पैरों की पहचान होती है✌️

Title: Sapno ki udaan || two line Hindi shayari