Skip to content

Tu meri si || sad shayari punjabi


Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Yaha Sirf Diljale Rehte Hai || sad shayari

Wo Aate Hai Or Dil Behla Jate Hai

Kuch Kehte Hai Or Chale Jate Hai

Koi Unse Kaho

Diljalo Ki Galiyone Me Yu Baar-2 Na Aaya Kare

Kisi Se Yu Baat Na Kiya Kare

Yaha Har Koi Apno Se Dhokha Khaya Hua Hota Hai

Dil Bas Uski Bewfai Mai Khoya Hota Hai

Yaha Dher Sara Dard Or Akelapan Hota Hai

Kahi Aap Ka Dil Na Lag Jaye Yaha

Isliye Har Baar Kehte Hai, Yaha Mat Aaya Kijiye

Yaha Sirf Diljale Rehte Hai

Title: Yaha Sirf Diljale Rehte Hai || sad shayari


Dil-e-bimar || love Hindi shayari || yaad shayari

Yun tasalli de rahe hain hum dil-e-bimar ko
Jis trah thaame koi girti huyi diwar ko
Kuch khatakta to hai pehlu mein mere reh reh kar
Ab khuda jane teri yaad hai ya mera dil ❤️

यूँ तसल्ली दे रहे हैं हम दिल-ए-बीमार को
जिस तरह थामे कोई गिरती हुई दीवार को
कुछ खटकता तो है पहलू में मेरे रह रह कर
अब ख़ुदा जाने तेरी याद है या मेरा दिल ❤️

Title: Dil-e-bimar || love Hindi shayari || yaad shayari