Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Aansu se khataaa || hindi sad shayari
Mere Aansuon se khataa ho gyi…
jo beh chle jaalim zamaane ke aage.
Hakikat se pehle kyon aankhein namm ho gyi,
jo mere sapne bhi saare jal kar raakh ho gye …
kaash! hume ye ehsaas pehle hi ho jaata….
kimat nhi inn anmol motiyon ka yahaan ,
jo ab yu andhere se aankhein milaayi ,
chiraago se roshni bhi judaa ho gyi.
Hazaaron se bhi jyadaa gum humne chupaaye,
na jaane kaise ye daastan bayaan ho gyi.
-by SARITA CHAUHAN
Title: Aansu se khataaa || hindi sad shayari
Love shayari || hindi shayari
Dheere dheere raat ho rhi hai
Aankho mein yaado ki barsat ho rhi hai
Dil kehta hai ki tum pass ho
Frr bhi milne ki aas ho rhi hai..
धीरे धीरे रात हो रही है
आंखों में यादों की बरसात हो रही है
दिल कहता है कि तुम पास हो
फिर भी मिलने की आस हो रही है..

