Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Tum kehte to || Hindi shayari || two line shayari
Samandar ke beech le jakar fareb karne ki zaroorat kya thi..
Tum kehte to kinare par hi doob jate hum 🙃….!!
समंदर के बीच ले जाकर फ़रेब करने की जरूरत क्या थी..
तुम कहते तो किनारे पर ही डूब जाते हम🙃….!!
Title: Tum kehte to || Hindi shayari || two line shayari
Mitti ki khoobsurti || Hindi shayari
Girte patton se shakhon ke berang nazare hain
Lehron ki khanak sunne ko betaab kinare hain
Murjha gayi hain kaliyan bhi do boond pani ki aas mein
Mitti ki khoobsurti ab bejaan foolon ne saware hain…💯
गिरते पत्तों से शाखों के बेरंग नज़ारे हैं,
लहरों की खनक सुनने को बेताब किनारे हैं,
मुरझा गई हैं कलियाँ भी दो बूँद पानी की आस में,
मिट्टी की खूबसूरती अब बेजान फूलों ने सवारे हैं…💯

