You are the one to whom I not only bestow my HEART but even MYSELF.❤️
You are the one to whom I not only bestow my HEART but even MYSELF.❤️
Shab-o-roz ki fikr hai ke ab poochon usska main haal kaise
Maine toh bewafayi na ki, toh mujhe hai yeh itna malaal kaise
Kaise chorh doon isse yeh illat nahi ne’mat hai yaar ‘Burq’
Cigarette na hou toh sulgaon bad-maazi ka poshida khayaal kaise
_________________________________
Mujh jaise ko bhi ussne jeena sikha diya
Bohat maghroor tha zameen se laga diya
Mera pathar sifat dil kabhi pighla kahan tha
Mujh jaise sang-dil ko ussne rona sikha diya
Yaar sukhan-vari ab har kisi ke bas mein kahan
Usski bewafayi ne ‘Burq’ tujhe shayar bana diya
_________________________________
Mera dard meri nam ankhein sab fizool hai kya
Tu sahi hai to tu bhi meri trah pagl ban ja bol tujhe qabool hai kya…🍀
मेरा दर्द मेरी नम आंखें सब फिजूल है क्या
तू सही है तो तू भी मेरी तरह पागल बन जा बोल तुझे ये
कुबूल है क्या…🍀