Skip to content

Appa hoyie tareya de desh || Love punjabi shayari image

APPA HOYIE TAREYA DE DESH || LOVE PUNJABI SHAYARI IMAGE
Aapa hoiye taareyaa de desh, jithe dekhe na koi
me tera hath fadhlaa
na kujh bole tu, na kujh bola me
akhaa teriyaa ton, bin bole pyaar padhlaa



Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Woh kaha hamara naseeb tha || 2 lines saddd

Door reh kar bhi paas the jisake vo kisi aur ke kareeb tha jise samja tha apna kabhi vo khan hamara naseeb tha🍂 

दूर रहकर भी पास थे जिसके वो किसी ओर के करीब था जिसे समझा था अपना कभी वो कहां हमारा नसीब था 🍂

Title: Woh kaha hamara naseeb tha || 2 lines saddd


Ik taraf lahlahat chaman zindagi || Hindi latest shayari

Zindagi

Ik Taraf Lahlahata Chaman Zindagi
Ik Taraf Hai Khizaan Aur Ghutan Zindagi

Ik Taraf Himmat-O-Hausla ,Azm Bhi
Ik Taraf Uljhanein Aur Thakan Zindagi

Zindagi Aik Paheli Hai Aur Khud Hi Hal
Ab Kaho Kya Hai Aye AhleFan Zindagi

Neend Bhi Khawaab Bhi Aur Tabeer Bhi
Ik Tilasm-e-Purasraar-O-Fan Zindagi

Saltnat ,Takht-O-Taaj Aur Shahanshah Bhi
Tauq, Zanjeerein ,Daar-O-Rasan Zindagi

Sarhadon Par Nigehbaan Bhi , Ghaat Bhi
Maujzan Zindagi , Dilshikan Zindagi

Ye Hi Jashn-O-Charaaghaan Hai Aur Qahqahe
Maatam-O-Marsia , Nauhazan Zindagi

Ye Hi Shatranj Ke Mohre , Ye Hi Bisaat
Haar Aur Jeet Ka Air Chalan Zindagi

Rahguzar Bhi Hai Raahi Bhi Manzil Bhi Khud
Raahbar Bhi Zindagi Raahzan Zindagi

Khud Haqiqat Hai Aur Khud Hi Afsaanaa Bhi
Raaz Hai Az-zameen Taagagan Zindagi

Ye Hi Mahfil Bhi Hangama Sannata Bhi
Khud Hi Sanjeeda Khud Baankpan Zindagi

Zindagi Hai Ke Paani Ka Ik Bulbula
Phir Bhi Hai Kis Qadar Maujzan Zindagi

Hai Yahi Zindagi Aik Phoolon Ki Sej
Aur Kabhi Kaanton Ki Hai Chubhan Zindagi

Aashna Aur Shanasaa Bhi Anjaan Bhi
Baawatan Zindagi Bewatan Zindagi

.. Rekhta Pataulvi

Title: Ik taraf lahlahat chaman zindagi || Hindi latest shayari