Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
sad whatsapp video status || hindi shayari in female voice || kaash tu zindagi mein aaya na hota
kaash tu zindagi mein kabi aaya na hota
zindagi mein aakr muje pagl bnaya na hota
dene the ansu is ishq k safar mein
to shuruaat mein muje hsaya na hota
pyar kya hai j tune muje smjaya na hota
kaash ye dil mohobbt ka staya na hota
jis pl shuta tha tera hath mere hathon se
kaash vo lamha zindagi mein kabi aaya na hota
Title: sad whatsapp video status || hindi shayari in female voice || kaash tu zindagi mein aaya na hota
Burq tujhe shayari bna diya
Shab-o-roz ki fikr hai ke ab poochon usska main haal kaise
Maine toh bewafayi na ki, toh mujhe hai yeh itna malaal kaise
Kaise chorh doon isse yeh illat nahi ne’mat hai yaar ‘Burq’
Cigarette na hou toh sulgaon bad-maazi ka poshida khayaal kaise
_________________________________
Mujh jaise ko bhi ussne jeena sikha diya
Bohat maghroor tha zameen se laga diya
Mera pathar sifat dil kabhi pighla kahan tha
Mujh jaise sang-dil ko ussne rona sikha diya
Yaar sukhan-vari ab har kisi ke bas mein kahan
Usski bewafayi ne ‘Burq’ tujhe shayar bana diya
_________________________________
