Baadlo ke aage bhi ek shehr hai
Us shehar ke aage mera ghar bas ek pehar hai
Kabhi aayo to pahadon vali sadak le lena tum
Agar gum hue to baadlon ki madad le lena tum
Aur milo mujse to swaal km hi puchna
Agar chup raha mein to ankhein padh lena tum
Kabhi aayo to pahadon vali sadak..
बादलो के आगे भी एक शहर है
उस शहर के आगे मेरा घर बस एक पहर है
कभी आओ तो पहाड़ों वाली सड़क ले लेना तुम
अगर गुम हुए तो बादलो की मदद ले लेना तुम
और मिलो मुझसे तो सवाल थोड़े कम ही पूछना
अगर चुप रहा मै तो आखें पढ़ लेना तुम
कभी आओ तो पहाड़ों वाली सड़क….
Teri khamoshi mujhko kr rahi khamosh hai,
jane tujhe kya hua hai aur kya mera dosh hai,
mai khud se puchu kai swaaal ki kyu tu madhosh hai,
tu premika thi fir kyu sab jaan k bhi bihosh hai..