Skip to content

Bs itna kaafi hai..!❤️ || Love hindi shayari

Mashhoor hone ki khwaish nhi hme,
Aap hme jaante hai bs itna kaafi hai..

Paas se dekhne ki khwaish nhi hme,
Door se dekh lete hai bs itna kaafi hai..

Nzre milaane ki khwaish nhi hme,
Teri nazaron me khud ko dekh lete hai, bs itna kaafi hai.

Neend aane ki khwaish nhi hme,
Teri baaton me raat guzar jaaye, bs itna kaafi hai..

Likhne ki khwaish nhi hai hme,
Lafz panno pe khud uttar aaye, bs itna kaafi hai..

Tumhe maangne ki khwaish nhi hme,
tumhaare saath do pal mil jaaye, bs itna kaafi hai..

Title: Bs itna kaafi hai..!❤️ || Love hindi shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


dil dubo gaya || hindi love and sad shayari

Dil mujhe dubo gya…..
Dheere dheere hi sahi magar puri tarah se tera ho gya……
Na jane tu kis bheed mai kho gya smjhdar hokr bhi tu nasmjh ho gya……😞

Title: dil dubo gaya || hindi love and sad shayari


Mukammal zindagi ke mayine || hindi shayari

Ye lakire ye nasib ye kismat,
Sab fareb ke aayine hain,
Hathon mein tera hath hone se hi,
Mukammal zindagi ke mayine hain❤️

ये लकीरें ये नसीब ये किस्मत,
सब फ़रेब के आईने हैं,
हाथों में तेरा हाथ होने से ही,
मुकम्मल ज़िन्दगी के मायने हैं।❤

Title: Mukammal zindagi ke mayine || hindi shayari