Skip to content

DAAG dhul jaate hai || hindi shayari

  • DAAG dhul jaate hai || hindi shayari


Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


mAut se nind churai ja sakti hai || hindi shayari

Dil ke andar aag lagaai jaa sakti hai
Dilwalo se jaan chhudai jaa sakti hai

Us ne Hans kar meri jaanib dekh liya hai
Yaani us se baat badhayi jaa sakti hai

Samandar paar to baatien ho jaati hai
Kya maazi Mai call milaayi jaa sakti hai

Nayi muhabbat mahangi padti hai to dekho
Koi puraani theek karaayi jaa sakti hai

Darwaaze par dastak de kar dekh liya hai
Darwaaze se teg lagaai jaa sakti hai

Zindagi se Khuwaab humaien kuch mil sakte hai
Jaise mout se neend churaai jaa sakti hai

Title: mAut se nind churai ja sakti hai || hindi shayari


Kadar kar lo unki…. || life true hindi shayari

कदर कर लो उनकी जो तुमसे,
बिना मतलब की चाहत करते है,
दुनिया मे ख्याल रखने वाले कम,
और तकलीफ देने वाले ज्यादा होते है! ✍ ? 

Kadar kar lo unki jo tumse,
Bina matlab ki chahat karate hai,
Duniya mein khyaal rakhane wale kam,
Aur taklif dene wale jyada hote hai! ✍ ?

Title: Kadar kar lo unki…. || life true hindi shayari