Skip to content

Dastak Dil Vich || Sad shayari girl

Supniya Vich tah Roz tere deedar hunde ne,
Tainu ik vari pyaar de naal hath laan de armaan aunde ne,
Tainu kyu nhi disda kis kadar tere piche aauni haa,
Saade Jaan toh baad tainu pta chalna khate aansu live peete jaunde ne…

Title: Dastak Dil Vich || Sad shayari girl

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Kaha jaata hai maafi mangne wala || hindi status 2 lines

Kha jata hai maafi mangne vala chota nhi maaf karne vala mhaan hai par khud hurt hokar maaf karna bhi khan aasan hai

कहा जाता है माफी माँगने वाला छोटा नहीं माफ करने वाला महान है पर खुद hurt होकर माफ करना भी कहां आसान है 

Title: Kaha jaata hai maafi mangne wala || hindi status 2 lines


Ik taraf lahlahat chaman zindagi || Hindi latest shayari

Zindagi

Ik Taraf Lahlahata Chaman Zindagi
Ik Taraf Hai Khizaan Aur Ghutan Zindagi

Ik Taraf Himmat-O-Hausla ,Azm Bhi
Ik Taraf Uljhanein Aur Thakan Zindagi

Zindagi Aik Paheli Hai Aur Khud Hi Hal
Ab Kaho Kya Hai Aye AhleFan Zindagi

Neend Bhi Khawaab Bhi Aur Tabeer Bhi
Ik Tilasm-e-Purasraar-O-Fan Zindagi

Saltnat ,Takht-O-Taaj Aur Shahanshah Bhi
Tauq, Zanjeerein ,Daar-O-Rasan Zindagi

Sarhadon Par Nigehbaan Bhi , Ghaat Bhi
Maujzan Zindagi , Dilshikan Zindagi

Ye Hi Jashn-O-Charaaghaan Hai Aur Qahqahe
Maatam-O-Marsia , Nauhazan Zindagi

Ye Hi Shatranj Ke Mohre , Ye Hi Bisaat
Haar Aur Jeet Ka Air Chalan Zindagi

Rahguzar Bhi Hai Raahi Bhi Manzil Bhi Khud
Raahbar Bhi Zindagi Raahzan Zindagi

Khud Haqiqat Hai Aur Khud Hi Afsaanaa Bhi
Raaz Hai Az-zameen Taagagan Zindagi

Ye Hi Mahfil Bhi Hangama Sannata Bhi
Khud Hi Sanjeeda Khud Baankpan Zindagi

Zindagi Hai Ke Paani Ka Ik Bulbula
Phir Bhi Hai Kis Qadar Maujzan Zindagi

Hai Yahi Zindagi Aik Phoolon Ki Sej
Aur Kabhi Kaanton Ki Hai Chubhan Zindagi

Aashna Aur Shanasaa Bhi Anjaan Bhi
Baawatan Zindagi Bewatan Zindagi

.. Rekhta Pataulvi

Title: Ik taraf lahlahat chaman zindagi || Hindi latest shayari