Skip to content

ilzam hum par lagaya jayega

Kehte he jab koi kisi ko saache dil se yaad karta he,
to aasman se ek taara tut ke girta he.
ek din aesa aayega ki saara aasman khali ho jayega,
aur ilzam hum par lagaya jayega.

Title: ilzam hum par lagaya jayega

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Achanak se gayab ho jauga main || yaad shayari

Achanak se gayab ho jauga main,
Khayalon mein chhupa hua hoon kahin.

Dil se juda, anjaan rahoon,
Yaadon mein basa hua hoon kahin.

Raat bhar chandni se roshan hokar,
Sitaron mein bikha hua hoon kahin.

Tere khwabon mein kho jauga main,
Aankhon mein basa hua hoon kahin.

Hawaon mein leharata hua,
Zindagi se juda hua hoon kahin.

Achanak se gayab ho jauga main,
Magar teri yaadon mein bana hua hoon kahin.

Title: Achanak se gayab ho jauga main || yaad shayari


Chhod diya tha likhna me || Hindi Sad shayari image

Chhod diya tha likhna maine
par aj fir kalam uthayi hai
uski yaad me
waise to #arsh kabhi bolkar byaan nahi karta
par aaj likhega dil ke dard ko apni shayari ke har alfaaz se