Skip to content

Kisi Ko Khokar Mene Khud Ko Pa Liya Hai

Kisi Ko Khokar Mene Khud Ko Paa Liya hai

Mere Naseeb Mein  Jo Kuch Tha Mene Apna Liya hai

Kyu Karte Ho Uski Baante Mere Samne Yaaro

Usne Apna Dil Kahin Or Laga Liya Hai

Yaha Mat Jao Waha Mat Jao Isse Usse Baat Mat Karo

Yahan Har Shaqs Apni Hawas Mitane Me Laga Hua Hai

Kisi Ek Ka Ho Pana Tere Liye Mushqil Hain Shayad

Tune Apna Dil Na Jane Kitno Se Laga Rakha Hai

Khuda Kare Tere Bete Ko Ishq Ho Tujh Jesi Hi Adakara Se

Jab Hoga Tujhe Maloom Dard Ko Chhupane Mein Seene Me Kitna Zakhm Mene Bana Liya Hai.

Title: Kisi Ko Khokar Mene Khud Ko Pa Liya Hai

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Tum bin tanha || Hindi shayari || Two line shayari

Guzaro chand lamhe fursat se hamare sath,
Tumhe bhi to maloom ho.. tum bin kitne tanha hai hum 💕

गुज़ारो चंद लम्हें फुरसत से हमारे साथ,
तुम्हें भी तो मालूम हो.. तुम बिन कितने तन्हा हैं हम।💕

Title: Tum bin tanha || Hindi shayari || Two line shayari


Ishq ki kahaniyan || love Hindi shayari

Ishq ki kuch kahaniya hum yun bhi likhenge
Tera naam fir mera naam aur baki khali shod denge ❤

ईश्क की कुछ कहानियां हम यूं भी लिखेंगे
तेरा नाम फिर मेरा नाम और बाकी खाली छोड़ देंगे❤

Title: Ishq ki kahaniyan || love Hindi shayari