Skip to content

Kya yahi pyaar kehlata hai? || Love hindi shayari

Tere bhool jaane ki aadat k sadke, 
Tujhe bhool jaane ko jee chahta hai.. 
Raah to koi or pakadta hu magar, 
Hr zrraah teri or fir se kheech lata hai..
Kya yahi pyaar kehlata hai?

Khush hone k lamhe boht mile,
Pr noor chehre pe teri vajah se ata hai.. 
Krte nhi hai baat kisi se, 
Kyu ki hr baat me tera zikkr aa jata hai.. 
Kya yahi pyaar kehlata hai?

Mubarak hr shaam hua krti thi kbhi, 
Ab hr shaam me chaand dhal jata hai..
Roshni to aati hai hr roj subhah, 
Magar andhera aankhon me basa rehta hai.. 
Kya yahi pyaar kehlata hai?

Title: Kya yahi pyaar kehlata hai? || Love hindi shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


agar in aansooon || So sad broken heart shayari hindi

agar in aansooon kee kuchh keemat hotee,
to kal raat vaala takiya arabon mein bikata…

अगर इन आंसूओं की कुछ कीमत होती,
तो कल रात वाला तकिया अरबों में बिकता…

If these tears had some value,
then last night’s pillow was sold in billions…

Title: agar in aansooon || So sad broken heart shayari hindi


Tera Saath hai Toh mujhe kya || love Hindi shayari

Tera Saath hai Toh mujhe kya kami hai
Teri har muskan se mili mujhe kushi hai
Muskuraate Rehna isi Tarah humesha
Kyonki teri is muskan mein meri jaan basi hai❤️

Title: Tera Saath hai Toh mujhe kya || love Hindi shayari