Skip to content

Ladka hona bhi khan itna aasan hai

Agar betiyan naseeb se to Bete bhi duaaon ke saath aate hai apni aashaon ko rakh kar alag pehle faraz nibhate hai Bete se pita tak ka kirdaar vo bakhubi nibhaye fir bhi kabhi bura pati to kabhi beta bura kehlaye parivaar ka bhar kandho par liye chlata hai kamyaab hote hote na jaane kitni baar fislata hai roye to kamjor na roye to pathar dil do tarfa samaaj me jeena hai mushkil man me zimmedari ka bhoj chehre par muskaan hai ladka hona bhi khan itna aasan hai….ladka hona bhi khan itna aasan hai💙

Title: Ladka hona bhi khan itna aasan hai

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Zindagi kahi aur hai || Hindi shayari

Sapna hai ankhon mein… magar nind kahi aur hai
Dil❤ to hai jisam mein… magar dhadkan💕 Kahin aur hai..
Kaise byan karein apna haal-e-dil ❤
Ji to rahe hain… magar zindagi kahi aur hai..

सपना है आखो में… मगर नींद कहीं और है।
दिल❤ तो हैं जिस्म में… मगर धड़कन💕 कहीं और है।।
कैसे बयान करें अपना हाल-ए-दिल❤
जी तो रहें हैं… मगर जिंदगी कहीं और है।

Title: Zindagi kahi aur hai || Hindi shayari


ISHQ LIKHA HAI

Khawabo mein hai ishq jiska

Hakikat mein dosti naseeb hai,

Yaari unse kaise nibhayu

Unse ishq bohot hai

Kehnaa hai woh har lafz mujhe Jo mein ne apne kitab mein likha hai

Har panne par mein ne tujhe srif ishq likha hai

Title: ISHQ LIKHA HAI