Skip to content

meri aadat kharab na kar || hindi best shayari 2 lines

Akele hi katna hai mujhe ai zindagi ka safar,
yo pal-do-pal sath chalkar meri aadat kharab na kar.

Title: meri aadat kharab na kar || hindi best shayari 2 lines

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Agar Tu Mili Na Hoti

Agar Tu Mili Na Hoti !

Zindagi Kitni Haseen Hoti

Tu Saath Hoti !

Per Zindagi Aur Haseen Hoti

Agar Tu Mili Na Hoti !

Ye Roz Roz Khud Se Sawal Na Hote !

Ye Hari Bhari Zindagi Mein Kisi Ki Kami Khali Na Hoti 

Agar Tu Mili Na Hoti…!

Wahi Awara Man Chale Ladke Hote Hum !

Duniya ke Dour-Bhag se Thakk Ke Lout Ke

Chain Se Maa Ki Godd mein Sote Hum ❤️

Kisi Chij Ki parwaah Nahin Hoti 

Shaamon Mein Cigarette Jali Nahin Hoti 

Nashon Ki Latt Lagi Naa Hoti 

Uzaalo See Darta Nahin Dil Mera 

Bheed Ko Dekh Ke Bechaini Macchi Nahin Hoti !

Sab Sawal Ek Taraf 23 Ki Umar mein Ummar Se Phele Chehre Pe Baraf Uggi Nahin Hoti 

Hum Bhi Auron Ki Tarah Dil Se Haste 

Agar Tu Mili Nahi Hoti.

Title: Agar Tu Mili Na Hoti


Ek sapna || sad shayari || hindi shayari

Aankh khuli to sapna tha, sapne me hi koi apna tha.
Us sapne me ek haseen lamha tha, sapna tuta phr se me tanha tha💔

आँख खुली तो सपना था, सपने में ही कोई अपना था
उस सपने में एक हसीन लम्हा था, सपना टूटा फिर से में तन्हा था💔

Title: Ek sapna || sad shayari || hindi shayari