Skip to content

Meri maa || hindi shayari

Ek shaam Mai haar kar main khudh se sawal kar bethi,
Kyun lagti hai zindagi Khatam si
kyun aas koi dikhai nahi deti.
Mann karta hai panchi ban Mai kabhi Aakash Mai ud jaau
Bahot Rahi Mai chup chup kar ab
Ab Khuli hawa Mai lehraau.
Allah meri Duniya Mai ek farishta koi bhej de
Jo cheen liya tha bachpan Mai bas esa hi pyaar bhej de.
Mai fir se khelu Aanchal se mai fir se Bachi ho jaau,
Ay allah Mai thak kar ma ki god Mai so jaau,
Meri zindagi mai mushkile Barish ki tarah aati hai
behti hai baaten maa ki or yaadon ki baadh laati hai,
Kese kahu tere bina maa mera kesa haal hai,
Chal chal kar thak gai mai
Fir bhi na sahi haal hai.
Bina tere ma mujhe koi
Chup krane wala nahi hai,
Mai ro bhi du bilakhkar toh koi gale lgane wala nahi hai.
Kyun tere bina ma hume jina padta hai,
Kyun bin maa ka bacha akele hi zindagi se ladta hai.
Ey Allah meri bas itni c Duaa maan le maa mat karna door kisi ki chahe toh badle Mai tu sara jahan maang le

Title: Meri maa || hindi shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Imtehaan aa gya || shayari

Ye kaisa bawaal aa gaya,
Jeete ji marne ka sawaal aa gaya,
Chaaha to sirf tumhi ko tha,
Phir bhi tumse bichadne ka imtehaan aa gaya.

Title: Imtehaan aa gya || shayari


teree vaphaon ka samandar || Shayari for Bewafa

teree vaphaon ka samandar kisee aur ke lie hoga,
ham to tere saahil se roj pyaase hee gujar jaate hain….

तेरी वफाओं का समन्दर किसी और के लिए होगा,
हम तो तेरे साहिल से रोज प्यासे ही गुजर जाते हैं….

Title: teree vaphaon ka samandar || Shayari for Bewafa