Skip to content

Mujhe Afsos nahi ki || Rona shayarri

मुझे अफसोस नहीं की
मेरे पास सबकुछ होना चाहिए था,
मैं तब भी मुस्कुराता रहा
जब मुझे रोना चाहिए था...

Title: Mujhe Afsos nahi ki || Rona shayarri

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Qalam

Tujhe malum hai me ek Qalam hu,,

Me karta hu Baya gairo ke dil ki,,

Tu shayar hai samajh sakta hai shayad,, 

Ke kya halat huyi hai mere dil ki,,

Me wo likhta hu jo tu dekhta hai,,

Me keh sakta nhi hu apne dil ki,,

He kala khoon bass mere jigar me,,

Tere alfaz dhadkan mere dil ki,, 

✍️Sameer Salmani



mAut se nind churai ja sakti hai || hindi shayari

Dil ke andar aag lagaai jaa sakti hai
Dilwalo se jaan chhudai jaa sakti hai

Us ne Hans kar meri jaanib dekh liya hai
Yaani us se baat badhayi jaa sakti hai

Samandar paar to baatien ho jaati hai
Kya maazi Mai call milaayi jaa sakti hai

Nayi muhabbat mahangi padti hai to dekho
Koi puraani theek karaayi jaa sakti hai

Darwaaze par dastak de kar dekh liya hai
Darwaaze se teg lagaai jaa sakti hai

Zindagi se Khuwaab humaien kuch mil sakte hai
Jaise mout se neend churaai jaa sakti hai

Title: mAut se nind churai ja sakti hai || hindi shayari