Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Manzil abhi door hai || hindi shayari
Bas chlta hun apni raah mein,
Kuch manzil mila nahi karti..
Khamosh hun logo ki afwah se,
Duayein lafzon se gila nahi karti
Chal raha hun baste mein kaanto ko lekar
Jalti dhup paav ke chale sila nhi karti
Thoda ziddi hun is baat ka garoor hai
Kaise ruk jaun beech mein manzil abhi door hai…🙌
बस चलता हूं अपनी राह में,
कुछ मंज़िल मिला नहीं करती…
ख़ामोश हूं लोगो की अपवाह से,
दुआएं लफ़्ज़ों से गिला नहीं करती…
चल रहा हूं बस्ते में कांटों को लेकर,
जलती धूप पांव के छाले सिला नहीं करती…
थोड़ा ज़िद्दी हूं इस बात का गुरूर है,
कैसे रुक जाऊं बीच में मंज़िल अभी दूर है…🙌
Title: Manzil abhi door hai || hindi shayari
Khalwat-e-intezaar : seclusion of waiting
Tumhari mohabbat bohat ajeeb aur gehri hai
Meri mohabbat bohat pagali aur sachhi hai..
Mere paas tumhare sath koi tasveer nahi toh kya hua
Hamare haseen ishaaro ko shayari mein qaid kar liya..
Kisi ko paane ki chahat mein apni poori
Shakhsiyat badal dena bhi ishq hai..
Kisi ke liye saari umar muntazir rehne ki
Taiyaari karna bhi ishq hai..
Agar tum meri hokar bhi
Main tumhare sath dusri jagah hoon
Toh samajh lena kho diya hai tumne mughe..
Mera khauf bhi tum
Meri khata bhi tum
Meri maafi bhi tum
Meri saza bhi tum..
Akela hoon ya mehfil mein tumhara har pal
Dahine ore se mughe dekhna bhi ishq hai..
Be intehaan dafa aayine ke muqabil
Izhaar-e-ishq karna bhi ishq hai..



