Skip to content

Teri aarzoo liye || Hindi shayari || beautiful Hindi shayari

Vo muskurahat ke baadal tere honthon se baraste rahe…
Teri zulfon mein aakar bas gaya jo, sitare us aasmaa ko taraste rahe…
Mein muthi bhar sapne lekar nikla tha bhari dhup mein
Aaj vo shaam naseeb huyi jiske liye mere pairon ke shaale taraste rahe
Tera daaman hi odh loon rooh par mein apni
Teri aarzoo liye na jane kitne musafir bhatakte rahe…✨

वो मुस्कुराहट के बादल तेरे होंठो से बरसते रहे…
तेरी जुल्फों में आकर बस गया जो, सितारे उस आसमां को तरसते रहे…
मै मुट्ठी भर सपने लेकर निकला था भरी धूप में,
आज वो शाम नसीब हुई जिसके लिए मेरे पैरों के छाले तरसते रहे…
तेरा दामन ही ओढ़ लू रूह पर मै अपनी,
तेरी आरजू लिए ना जाने कितने मुसाफिर भटकते रहे…✨

Title: Teri aarzoo liye || Hindi shayari || beautiful Hindi shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Jiska dil khoobsurat hota hai || hindi shayari || true lines

Bhut milenge haseen chehre duniya ke bazar mein
Vo mukaddar se milta hai jiska dil khoobsurat hota hai..❤️

बहुत मिलेंगे हसीन चेहरे दुनिया के इस बाजार में….
वो मुकद्दर से मिलता है जिसका दिल खूबसूरत होता है..❤️

Title: Jiska dil khoobsurat hota hai || hindi shayari || true lines


Jab yaad aati hai || Love

Jab yaad aati hai…

Toh aankh bhar aati hai…

Tumse mill kr…

Zindgi khoobsurat nazar aati hai…

जब याद आती है…

तो आँख भर आती है…

तुमसे मिल कर..

ज़िन्दगी खूबसूरत नज़र आती है…

Title: Jab yaad aati hai || Love