Skip to content

Vo shakhas || hindi shayari || sad but true shayari

Buri aadat uski bure uske khayalat
Dil uska bura nazar aa raha hai,
Vo shakhas jo tha dil ke kareeb mere
Vo ab dil se utarta ja raha hai 😶‍🌫️

बुरी आदत उसकी बुरे उसके खयालात
दिल उसका बुरा नज़र आ रहा है,
वो शख्स जो था दिल के नज़दीक मेरे
वो अब दिल से उतरता जा रहा है।😶‍🌫️

Title: Vo shakhas || hindi shayari || sad but true shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Jane kon kon se raaz || HIndi shayari best

Jaane kon kon se Raaz kholti hai
Khamoshi jab sir chhad kar bolti hai

Le jaati hai mujhe Andheri galiyon m
Fir der tk meri nbz tatolti hai

Durr rehne ki iss se kai minnate ki mene
Teri hamraaz hoon reh reh kar Bolti hai

Kya milta hai ise gade murde udkhad kar
Raat raat bhar laasho sang dolti hai

Zehr .. tezaab… Awara khushuye
Kya kya aakar zehn m gholti hai

Mere badan m uthi hai basi limsa koi
Bechain rooh mano tera rasta tatoli hai

Title: Jane kon kon se raaz || HIndi shayari best


Jiska dil khoobsurat hota hai || hindi shayari || true lines

Bhut milenge haseen chehre duniya ke bazar mein
Vo mukaddar se milta hai jiska dil khoobsurat hota hai..❤️

बहुत मिलेंगे हसीन चेहरे दुनिया के इस बाजार में….
वो मुकद्दर से मिलता है जिसका दिल खूबसूरत होता है..❤️

Title: Jiska dil khoobsurat hota hai || hindi shayari || true lines