Skip to content

yah meree dua || alone and love shayari

main usakee zindagee se ​chala jaoon yah usakee dua thee,
aur usakee har dua pooree ho yah meree dua thee..

मैं उसकी ज़िंदगी से ​चला जाऊं यह उसकी दुआ थी,
और उसकी हर दुआ पूरी हो यह मेरी दुआ थी..

Title: yah meree dua || alone and love shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Burq tujhe shayari bna diya

Shab-o-roz ki fikr hai ke ab poochon usska main haal kaise
Maine toh bewafayi na ki, toh mujhe hai yeh itna malaal kaise

Kaise chorh doon isse yeh illat nahi ne’mat hai yaar ‘Burq’
Cigarette na hou toh sulgaon bad-maazi ka poshida khayaal kaise

_________________________________

Mujh jaise ko bhi ussne jeena sikha diya
Bohat maghroor tha zameen se laga diya

Mera pathar sifat dil kabhi pighla kahan tha
Mujh jaise sang-dil ko ussne rona sikha diya

Yaar sukhan-vari ab har kisi ke bas mein kahan
Usski bewafayi ne ‘Burq’ tujhe shayar bana diya

_________________________________

Title: Burq tujhe shayari bna diya


Mera Yaar || love shayari || two line hindi shayari

Teri sadgi😇teri aazizi ❣️teri har adaa kamal hai😍
Mujhe fakhr hai😊 mujhe naaz hai🤗 mera yar bemisaal hai😘

तेरी सादगी😇तेरी आज़ीज़ी❣️ तेरी हर अदा कमाल है😍
मुझे फख्र है😊मुझे नाज़ है🤗मेरा यार बेमिसाल है😘

Title: Mera Yaar || love shayari || two line hindi shayari