Skip to content

Bhuli bisri yaaden

Aaj yaadon ke kamre main kuch dhund Raha tha.

Kisi bichade hue rishtey ki tasveer ko dekh raha tha.

Beetey hue khusnuma pal yaad aa gaye

Waqt badal Gaya yaaden piche rah gaye

Aaj bhi beeti yaadon main wahi kasish hai

Berang zindagi jeene ki kosish hai

Naa jaane Kahan chhoot Gaye woh haseen pal

Woh sukoon se bharaa hua kal

Woh lamhe kabhi Laut ke nahi aayenge

Lekin hamesha khubsurat yaad ki tarah Dil main Zinda rahenge.

Title: Bhuli bisri yaaden

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Ishq mein aajmayish || Hindi shayari || true lines

Ishq mein aajmayish nhi chalti
Jaha maang kar khana ho waha farmaish nhi chalti
Batane aur sunne mein fark hota hai
Har jgah hmari tumhari khwahish nhi chalti 🙌

ईश्क में आजमाइस नहीं चलती
जहा मांग के खाना हो वहा फरमाइश नही चलती
बताने और सुनाने में फर्क होता है
हर जगह हमारी तुम्हारी ख्वाईस नही चलती🙌

Title: Ishq mein aajmayish || Hindi shayari || true lines


True line shayari || Hindi shayri

जिन के आंगन में अमीरी का शजर लगता है,
उन का हर एब भी जमानें को हुनर लगता है।💯

Title: True line shayari || Hindi shayri