Skip to content

hindi shayari lyrical video || female voice || true but sad shayari || life shayari

badal jate hain log || sad shayari || hindi shayari

badal jate hain log kisi ki badal k zindagi
bhut tadpata hai jeete jee mar jana is duniya mein..!!
dard deta hai jab kehne ko bahut apne ho
pr mushqil ho koi apna dhoond pana is duniya mein..!!
vo har shakhs rota hi dikhta hai yahan
jisne rabb shod kisi insan ko khuda maana is duniya mein..!!
ansu bhi ankhon ko vahi log dete hain
jinki vjah se ho hsna hsana is duniya mein..!!
dard byan b kroge na smjhega koi
bewaja hai kisiko chahna is duniya mein..!!
yun to apnapan har kisi ko dikhata hai koi
par kismat valon ko hi milta hai sacha yarana is duniya mein..!!
yakeen karo chahtein badal jati hai waqt ke sath
kisi ko aata hi nahi pyar nibhana is duniya mein..!!
koi kisiko marte dam takk mohobbat kare
milna mushqil hai esa deewana is duniya mein..!!

Title: hindi shayari lyrical video || female voice || true but sad shayari || life shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Andhere ki duniya || dard shayari hindi sad

Aksar log andhere ko apni duniya maan lete hain

Kadwi sachhai ko jhel nahi paate hain

Ujjale ki roshni uski andhere ki duniya ko nigal leti hai

Uski iss jhuti Jahan ki badal dati hai

Andhere ki duniya bhale hi jhuti ho sukun ke do pal deta hai

Ujjali Kiran aane waale sach ka kal deta hai

Kya kare yeh dil sach maanta hi nahi

Dhoke kaa maara hai,yakeen karna isko aata nahi

Title: Andhere ki duniya || dard shayari hindi sad


Na pasand ko pasand bnaya hai || hindi shayari || sad but true

Yaha kisko mila hai wo Jo use pasand aaya ho, 
Na pasand ko pasand banaya hai har kisi ne…….🙌

यहाँ किसको मिला है वो जो उसे पसंद आया हो,
न पसंद को पसंद बनाया है हर किसी ने……🙌

Title: Na pasand ko pasand bnaya hai || hindi shayari || sad but true