Skip to content

Intezaar || hindi shayari || janamdin shayari

Shukriyaa khuda ka zameen pe utara aapko aaj ke din
Chalo ek aur dafa manaaye yeh haseen din aapke bin
Muntazir toh iss tarah rehta hai pagla jaise dil milenge iss din
Apna bhool jaunga par nahi bhool paunga aapka janamdin..

Jab tum deewar par apna sar rakhti ho
Toh bahot khoobsurat lagti ho..
Phir jab tum muskura deti ho
Toh usse bhi jyada khoobsurat lagti ho..

Kehdo ki jab main tumhe din mein
Pehli dafa dekhta hoon
Toh mugh par nazar nahi rakhti
Kehdo ki jab main tumhari ore
Kadam badhata hoon
Toh tumhari dhadkan nahi badhti
Kehdo ki jab main tumhare
Roobaroo baithta hoon
Toh mere rukh ko itmenaan se nahi dekhti
Kehdo ki mere jaane ke baad
Tumne ek baar bhi meri
Kami mehsoos nahi ki
Ek aakhri baar meri kasam khaao aur
Kehdo ki har hafte tum meri
Shayari ka intezaar nahi karti..

Title: Intezaar || hindi shayari || janamdin shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


RABB NAAM RAKH BAITHA | SHAYARI DARD

ki likhiyaa kise mukkadar c
hathan diyaan chaar lakiraan da
me dard nu kaba keh baitha
te rabb naam rakh baitha peedha da

ਕੀ ਲਿਖਿਆ ਕਿਸੇ ਮੁਕੱਦਰ ਸੀ
ਹੱਥਾਂ ਦੀਆਂ ਚਾਰ ਲਕੀਰਾਂ ਦਾ
ਮੈਂ ਦਰਦ ਨੂੰ ਕਾਬਾ ਕਹਿ ਬੈਠਾ
ਤੇ ਰੱਭ ਨਾਮ ਰੱਖ ਬੈਠਾਂ ਪੀੜਾਂ ਦਾ

Title: RABB NAAM RAKH BAITHA | SHAYARI DARD


Tera intezaar || Hindi shayari || love shayari

Khidki ke bagal mein baith Kar tera intezar karna
Tu kisi aur ka hai yeh jankar bhi tujhe beintehaa pyar karna
Humein to bohton ne kaha ke tu bewafa hai fir bhi teri wafa ka intezar karna
Har din khwabon mein tujhse dil-e-izhaar karna par tere Milne par Na tujhse koi baat karna
Tu kisi aur ka hai yeh jankar bhi tujhe beintehaa pyar karna
Khidki ke bagal mein baith Kar tera intezar karna ❤🙈

खिड़की के बगल में बैठ कर तेरा इंतज़ार करना 
तू किसी और का है यह जानकर भी तुझे बेइंतेहा प्यार करना 
हमें तो बोहतों ने कहा कि तू बेवफा है फिर भी तेरी वफ़ा का इंतज़ार करना 
हर दिन ख़्वाबों में तुझसे दिल-ऐ इज़हार करना पर तेरे मिलने पर तुझसे ना कोई बात करना 
तू किसी और का है यह जानकार भी तुझे बेइंतेहा प्यार करना 
खिड़की के बगल में बैठ कर तेरा इंतज़ार करना ❤🙈

Title: Tera intezaar || Hindi shayari || love shayari