Skip to content

Nice Punjabi shayari || Dil Ta Saade Vadde Ne

Nikke Nikke Chaa Ne Saade,
Nikke Supne Lainde Haan.
Nikki Jehi Dunia Saadi,
Ose Wich Khush Rehnde Haan.
Apna Yaar Vichon Rabb De Darshan,
Aksar He Kar Lainde Haan.
Dil Ta Saade Vadde Ne,
Ki Hoya Je Chhote Gharan Ch Rehnde Haan.

Title: Nice Punjabi shayari || Dil Ta Saade Vadde Ne

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Yaad aate hai bachpan ke wo din  || maa

Yaad aate hai bachpan ke wo din

Jab maa daantkar khana khilati thi

Kabhi gussa hokar mein bhukhi hi so jati thi

Subah hote hi maa deti thi maa banakr khana

Usme bhi maa ka pyar pane ke liye mera nakhre dikhana

Jab kabhi udaas huyi toh maa ko gale lagaya

Yaad ati hai maa jb aaj khudko akela paya

Jab lagti thi chot mujhe aansu unki aankh mein hote the

Jab bimar huyi wo, hum chup chupkar rote the

Nahi hoga unhe kuch ye yakin dilaya

Lekin bhagwan ka likha koi badal na paya

“Mujhe bacha lo” ye aakhiri the shabd unke

Kaash mein de paati apni saansein unhe

Toh aaj chubhte nahi ye shabd unke

Wo kahti thi ‘beta strong ban’, me kahti thi strong hu mein

Par kaise batau mein strong tab thi jab hath mere sir pe the unke

Nahi rok pati aansu apne jab yaad aati hai unki

Unke bina kamjor hai beti ye unki

Title: Yaad aate hai bachpan ke wo din  || maa


Wo nahi milega mujhe || sad shayari || two line hindi shayari

Mujhe maalum tha ki wo nahi milega mujhe 
Use maalum tha ki mujhe ishq hai us se💔

मुझे मालूम था की वो नहीं मिलेगा मुझे
उसे मालूम था की मुझे इश्क़ है उस से💔

Title: Wo nahi milega mujhe || sad shayari || two line hindi shayari