Skip to content

Sab dard kaam mein aaye hain || sad hindi shayari

Maamle hatash karne wale, kayi samne aaye hain..
Koi na bola ke hum tera, hath thamne aaye hain..
Akele hi ladha har mushkil se, kayi zakham bhi humne khaye hain..
Mein jeet ke hara, fir haar ke jeeta, sab dard kaam mein aaye hain..🙃

मामले हताश करने वाले, कई सामने आए हैं..
कोई ना बोला के हम तेरा, हाथ थामने आए हैं..
अकेले ही लडा हर मुश्किल से, कई ज़ख्म भी हमने खाए हैं..
मैं जीत के हारा, फिर हार के जीता, सब दर्द काम में आए हैं..🙃

Title: Sab dard kaam mein aaye hain || sad hindi shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Wo raat || hindi shayari

Wo raat thi kuch khaas si….,
Us raat ki kya baat thi…..,
Wo ishq ki shuruaat thi…..,
Wo theek mere hi pass thi…,
Takra rahi thi saans bhi…..,
Doori bachi thi bas naam ki……
Shabd mere ladkhada rhe the….,
Ashq palkon pe chaa rhe the…..,
Dekhta tha jab main usko , wo ishq seene me laa rhe the….
Wo ankhen palkon se jhaakti….,
Wo hasna uska tha laazmi….,
Ek khwab dekha tha kaafi pehle ,
Shayad wo poora ho aj hi…..
Aj yaad ayii hai uski fir , to Shabdon me bayan kiya……..,
Khwabon aur yaadon ko maine fir sabha me jama kiya……..

Title: Wo raat || hindi shayari


True lines || English || status were meant to share our feelings

Status were meant to share our feelings emotions and from where we are going through…..
Coping someone music or lines not attract others intentions 🙏🙏

Title: True lines || English || status were meant to share our feelings