Skip to content

musafir shayari

Main awaara || musafir love shayari

Bhatakta hua musafir hoon yaara

Dar badar phir raha hoon haalat ka maara

Main bekhabar aur besahara

Chala hoon apni taqdeer likhne

Adhuri kahani ko Puri karne

Khud ki manzil ka toh pata nahi raah sab ko dikhata hoon

Apne rashte main gumrah hoon dusron ki chah puri karta hoon

Apne liye awara hoon,dusre ke liye aankh ka tara hoon

Afsos tune ne na samjha mere dil ko

Main tere liye Aaj bhi dil haara hoon

Musafir || true line hindi shayari

मै मुसाफिर कल भी थी ,,मै मुसाफिर आज भी हू ,,कल तक अपनो की तलाश मे थी,,आज अपनी तलाश मे हू ..! 🥀

Musafir || Hindi shayari or ghazal

Kuch begairat sawalon ke jwab hazir hain
Kuch bhooli bisri yaadein aaj bhi mutasir hain
Ek mashal jala kar chand dhundne chale the
Dekh lo tum bhi, vo kal bhi musafir the aaj bhi musafir hain…✨💯

कुछ बेगैरत सवालों के जवाब हाज़िर हैं,
कुछ भूली बिसरी यादें आज भी मुतासिर हैं,
एक मशाल जला कर चांद ढूंढने चले थे,
देख लो तुम भी, वो कल भी मुसाफिर थे आज भी मुसाफिर हैं…✨💯

Dil toh har roz toot ta hai || sad shayari

Dil toh har roz toota hai,
Bas awaz nahi ati.
Cheeq toh har roz nikalti hai,
Bas sunayi nahi deti.
Ek safar hi toh hai,
Naya sabera – nayi umeed,
Naye rasta – nayi mushkil,
Phir raat – phir wahi halat.
Umeedien toh khwab mein bhi nahi ati.
Manzil toh har baar dur hoti hai,
Thakan bhi toh har roz hoti hai.
Bas musafir ruk nahi sakti.