Skip to content

zindagi shayari

Insaan || two line shayari || motivation

Insan ke liye deepak ka jeevan prernadayak v vandniye hai
Kyunki veh dusro ke liye jalta hai…Dusro se nhi✌️

इंसान के लिए दीपक का जीवन प्रेरणादायक व वंदनीय है
कयोंकि वह दूसरों के लिए जलता है…… दूसरों से नहीं✌️

Tamam umar || hindi shayari || zindagi shayari

Chale ja rahe hain besudh se hokar is zmane mein
Shehad ki mithas dhund rahe the hum kadve paimane mein
Chote the na samjhe zindagi ka khel, adhi umar guzar gayi anjane mein
Ab baki ki umar tamam ho rahi hai, bas noto ko kmane mein..🙌

चले जा रहे हैं हम बेसुध से होकर, इस जमाने में..
शहद की मिठास ढूंढ़ रहे थे हम, कडवे पैमाने में..
छोटे थे ना समझे जिंदगी का खेल, आधी उम्र गुजर गई अंजाने में..
अब बाकी की उम्र तमाम हो रही है, बस नोटों को कमाने में..🙌

Gam zindagi mein || sad hindi shayari

Teri ankhon ka zikar jo mein, apne dil se na karta
Aaj bhi khush hi hota, mein jeene se na darta
Vese to gam zindagi mein, aur bhi likhe hain meri
Kishte kayi aur bhi hai, tere pyar ki udhaari ka vyaj to na bharta…

तेरी आँखों का जिक्र जो मैं, अपने दिल से ना करता..
आज भी खुश ही होता, मैं जीने से ना डरता..
वैसे तो गम जिंदगी में, और भी लिखे हैं मेरी..
किश्तें कई और भी हैं, तेरे प्यार की उधारी का व्याज तो न भरता….

Mukaddar mein mohobbat || hindi shayari

Mukaddar mein mohobbat na likhi ho,
Khuda ne esi kahi kismat na likhi ho
Vo aaye mile aur kho jaye kahi
Zindagi mein esi haqeeqat na likhi ho🙏

मुकद्दर में मुहब्बत ना लिखी हो, 
खुदा ने एसी कही क़िस्मत ना लिखी हो,
वो आए मिले और खों जाए कही, 
ज़िन्दगी मे एसी हकीकत ना लिखी हो।🙏

Zindagi shayari || hindi shayari

Shaam ek umar ki trah, dheere dheere dhal rahi hai
Kehne ko to khas nhi, zindagi fir bhi chal rahi hai
Behtreen lamho ko yaad kar, gamo ko bhulane ki chaht mein
Aaj ke din ko aur khatam kar, raat bhi nikal rahi hai…

शाम एक उर्म की तरह, धीरे धीरे ढल रही है..
कहने को तो खास नहीं, जिंदगी फिर भी चल रही है..
बेहतरीन लम्हों को याद कर, गमों को भुलाने की चाहत में..
आज के दिन को और खत्म कर, रात भी निकल रही है….

Jeene ka irada kia || hindi shayari

Aaj zindagi se fir ek vaada kia…
jeene ka fir ek iraada kia
Hai gum bhut saare lekin fir bhi
Muskuraane ka ek bahaana kia
Aankhon mein nami hai or hothon m kayi jazbaat
Ki aaj fir likhne ka sahara lia…..

E zindagi || sad hindi shayari || broken shayari

E zindagi khatam kar sanso ka aana jana
Mein thak chuka hu khud ko zinda samjhte samjhte💔

ऐ ज़िन्दगी ख़त्म कर सांसों का आना जाना
मै थक चूका हूँ खुद को ज़िंदा समझते समझते💔

Zindagi se mukar jayenge || sad hindi shayari

Tumko jab bojh lagne lage to bta dena
Hum chup chaap zindagi se mukar jayenge💔

तुमको जब बोझ लगने लगे साथ तो बता देना
हम चुप चाप ज़िन्दगी से मुकर जायेंगे💔