Skip to content

Teri yaadon main || love shayari

Teri yaadon main hum aise khoye

Kab tu hame chhod gayi aur hum akele ho gaye

Tune Hume sambhal ne ka mauka Tak nahi diya

Ham se hamari khushiyon ka haq bhi tune chhin liya

Meri jaan,meri zindagi tujhpe hamesha hain Fida

Tere bin hum apni duniya main ho chuke hain gumshuda

Dua hai  rab se Laut aa hamari zindagi main phirse

Jee uthenge dobara hum tere pyaar ki ehsaas se

Title: Teri yaadon main || love shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Mukammal zindagi ke mayine || hindi shayari

Ye lakire ye nasib ye kismat,
Sab fareb ke aayine hain,
Hathon mein tera hath hone se hi,
Mukammal zindagi ke mayine hain❤️

ये लकीरें ये नसीब ये किस्मत,
सब फ़रेब के आईने हैं,
हाथों में तेरा हाथ होने से ही,
मुकम्मल ज़िन्दगी के मायने हैं।❤

Title: Mukammal zindagi ke mayine || hindi shayari


Ishq bimari || love shayari || hindi shayari

Na dwa se na daru se, mera zakham ab bhar sakta hai..
Koi vaid na koi kaadha, mujhe ab thik kar sakta hai..
Mein ishq bimari ki ek aisi had par hoon dosto..
Ke is bimari mein dooba hua, ye jisam ab sirf mar sakta hai..🙃❤️

ना दवा से ना दारू से, मेरा ज़ख्म अब भर सकता है..
कोई वैद ना कोई काढा, मुझे अब ठीक कर सकता है..
मैं इश्क बिमारी की एक ऐसी हद पर हूं दोस्तों..
के इस बीमारी में डूबा हुआ, ये जिस्म अब सिर्फ मर सकता है🙃❤️

Title: Ishq bimari || love shayari || hindi shayari