Uncategorized
Khud se baat… || kavita
Mann aur meri baatein…(Auron ki baat kya, tum khud k bhi sage nhi.)
Fursat mile kabhi toh mujhse bhi Milo…
Begairat khwabon ko chhod meri bhi sun lo…
Auron ki sun sun k ubb se gye ho…
Gairon se lad lad k akhir thak bhi gye ho……
Khud k kyalon व sawalon se dar gye ho…
Kya khoya kya paya k hisaabon se jo bhar gye ho…
Toh kabhi mujh se bhi mil lo…
Ek baar hi sahi par meri bhi sun lo…
Maana ki bhaagna fitrat h tumhari…
Banaye Jo rishte, adhoori reh gyi saari
Auron ki khatir ..taumra jo guzari…
Shayad ab utri h sir se zamane ki khumari…
Toh kahi Kone me ek jagah chun lo…
Kya keh raha main…usse bhi sun lo…
Toh kya hua jo tm bhaagte hi reh gye
Banaye rishte adhure hi reh gye…
Kya na bhaagna wala bhi ek jagah ruk paya h…
Marne se pehle koi pura kaha ho Paya h…
Chhod sb mere raaste ko chun lo….
Kabhi fursat mile toh meri bhi sun lo…