ishq shayari
Ishq bimari || love shayari || hindi shayari
Na dwa se na daru se, mera zakham ab bhar sakta hai..
Koi vaid na koi kaadha, mujhe ab thik kar sakta hai..
Mein ishq bimari ki ek aisi had par hoon dosto..
Ke is bimari mein dooba hua, ye jisam ab sirf mar sakta hai..🙃❤️
ना दवा से ना दारू से, मेरा ज़ख्म अब भर सकता है..
कोई वैद ना कोई काढा, मुझे अब ठीक कर सकता है..
मैं इश्क बिमारी की एक ऐसी हद पर हूं दोस्तों..
के इस बीमारी में डूबा हुआ, ये जिस्म अब सिर्फ मर सकता है🙃❤️
Pyar ho hi jayega || love hindi shayari
Ek din mujhe chahne ke liye, tera dil bekrar ho hi jayega..
Tera dil tera jism chod kar, ek din farar ho hi jayega..
Tu fikr na kar mein koshish mein hu..
Ek din tere dil ko mere dil se, pyar ho hi jayega..❤️
एक दिन मुझे चाहने के लिए, तेरा दिल बेकरार हो ही जाएगा..
तेरा दिल तेरा जिस्म छोड़ कर, एक दिन फरार हो ही जाएगा..
तू फ़िक्र ना कर मैं कोशिश में हूं..
एक दिन तेरे दिल को मेरे दिल से, प्यार हो ही जाएगा..❤️
Tujhse ishq karne ki chahat || love Hindi shayari
Tujse ishq karne ki chahat humein, aajse nhi hai..😍
Mohobbat jitni tujhse hai humein, utni kaam kaaj se nhi hai..🙌
Tera chillana meri zindagi mein, kam kisi saaz se nhi hai..😇
Nafrat Teri khamoshi se hai humein, aawaz se nhi hai..😘
Tujse ishq karne ki chahat humein, aajse nhi hai..❤️
तुझसे इश्क करने की चाहत हमें, आज से नहीं है..😍
मोहब्बत जितनी तुझसे है हमें, उतनी काम काज से नहीं है..🙌
तेरा चिल्लाना मेरी जिंदगी में, कम किसी साज से नहीं है..😇
नफ़रत तेरी खामोशी से है हमें, आवाज़ से नहीं है..😘
तुझसे इश्क करने की चाहत, हमें आज से नहीं है..❤️
Wo raat || hindi shayari
Wo raat thi kuch khaas si….,
Us raat ki kya baat thi…..,
Wo ishq ki shuruaat thi…..,
Wo theek mere hi pass thi…,
Takra rahi thi saans bhi…..,
Doori bachi thi bas naam ki……
Shabd mere ladkhada rhe the….,
Ashq palkon pe chaa rhe the…..,
Dekhta tha jab main usko , wo ishq seene me laa rhe the….
Wo ankhen palkon se jhaakti….,
Wo hasna uska tha laazmi….,
Ek khwab dekha tha kaafi pehle ,
Shayad wo poora ho aj hi…..
Aj yaad ayii hai uski fir , to Shabdon me bayan kiya……..,
Khwabon aur yaadon ko maine fir sabha me jama kiya……..